Friday, 30 October 2015

Urdu Speaking Muhajiron Ko Pakistan Mien Kya Karna Paray Ga?

Pakistan ko Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Qoomon ki zameen par bunaaya gayaa hy. Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch he Pakistan ki assal Qoomain hain. Pakistan khutam ho sakta hy laykun Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch khatam nahi ho saktay.

 Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ki apni zameen k sath sath apni zabaan, apni saqafat, apni tahzeeb, apna rasm rawaaj hy.

 Pakistan aik state hy aur Pakistani aik citizenship hy laykun Qoom nahi kyon k Pakistan, Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Qoomon ki state hy. Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch, Pakistan k citizens hain.

 Hindustan say aa kar Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Qoomon ki zameen par abaad honay waalay Muslmano ko Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch mein say ous he Qoom ki zabaan, saqafat, tahzeeb, rasm rawaaj ikhtiyaar kar k ous Qoom ka hisa bunna paray ga jis Qoom ki zameen par yeh Hindustani Muslman (Urdu Speaking Muhajir) rehtay hain.

No comments:

Post a Comment