Friday, 30 October 2015

Pakistan Par Urdu Speaking Muhajiron Ki Domination Kysay Hy?

Kisi bhe country par control ous Qoom ka hoota hy jis ki domination ous country k baray baray cities par ho.

Bureaucracy, Business, Education, Establishment, Political Parties, Public Services, Media Organisations, Skilled professions par domination karnay k mooqay, urban areas mein rehnay waalon ko, rural areas mein rehnay waalon ki nisbat ziyaada miltay hain.

Urdu Speaking Hindustani Muhajiron nay Pakistan k buntay he Pakistan k tamaam baray baray cities par qabza kar k Bureaucracy, Business, Education, Establishment, Political Parties, Public Services, Media Organisations, Skilled professions par domination hasil kar k Pakistan ki assal Qoomon, Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch, par supremacy hasil kar lee.

Jis Qoom ko Bureaucracy, Business, Education, Establishment, Political Parties, Public Services, Media Organisations, Skilled professions par domination ho, wo Qoom he ous country ya area ki policy-making aur decision-taking karti hy jis ko execute aur implement kawaya jaata hy.

Aam tour par awaam ko execution aur implementation waalay tu nazar aatay hain k execution aur implementation karnay waalon ka awaam say waasta parta rehta hy laykun policy-making aur decision-taking karnay waalon say awaam baykhabar he rehti hy.

Es waqt tak sirf Punjabi he Punjab k urban areas say Urdu Speaking Hindustaniyon ka qabza khatam karnay mein kamyaab ho kar Bureaucracy, Business, Education, Establishment, Political Parties, Public Services, Media Organisations, Skilled professions par domination domination hasil kar k Urdu Speaking Hindustaniyon ki domination aur supremacy khatam karnay mein kaamyaab hoay hain.

Sind mein Sindhi ab tak Sind k rural areas mein he rehtay hain aur Sind k urban areas par domination Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ki he hy.

Baluchistan mein Balochon k rural areas mein rehnay ko priority daynay ya Baluchistan k areas say migrate ho kar Sind aur Punjab k rural areas mein settle honay k trend ki wajaah say urban areas hain he nahi.

KPK mein Pathano k Sind aur Punjab k urban areas mein ja kar settle honay k trend ki wajaah say urban areas develop nahi ho sakay laykun Pathano k Sind aur Punjab k urban areas mein settle ho jaanay ki wajaah say Pathano ko kisi had tak Bureaucracy, Business, Education, Establishment, Political Parties, Public Services, Media Organisations, Skilled professions Mein shamal honay ka mooqa mila laykun domination karnay ka nahi.

No comments:

Post a Comment